Har daur me mohabaaton ke alag alag mizaz hote hain
Ab kahan aashiq laila-Majnoo,Seeri-Farhad hote hain |
Umr ke saath-saath, badalte jaate hain yeh rishte
Ab kam log hi jindagi bhar saath saath hote hain |
Khwaishen bar gayi hain, ehsasaat ghat gaye hain
Aaj ke daur me daulat se rishte parvaaz hote hain |
Ab Kisko parwah hai bujurgo ki,wo aqsar lachaar hote hain
Aajkal ke bacche,kab duaon ke talabgar hote hain |