Humi par tohmat,humi par saare ilzam lagaye jaate hain
Yeh siyasat hai doston,yahan mazloom hi sataye jaate hain
Mahlon me baithkar,garibon ki baten aqsar yahan hoti hain
Magar garibon ko,ineeh mahlon se dhakke lagaye jaate hain
Kabhi sarkon par, kabhi chaurahon par,hum peete jaate hain
Hamare khoon ki koi keemat nahin,hum yuin hi bahaye jaaten hain
Hamari mauten, kab shahdat,kab siyasi nare ban jaate hain
Yeh hume nahi pata,magar aqsar aisi khabren sunte aate hain !